• Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad...

    Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
    Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad

    Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad
    Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad

    Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
    Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad

    Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
    Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad

    Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
    Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad
  • You might also like

    No comments:

    Post a Comment