• ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !!

    Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan
    Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan

    Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
    Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan

    Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai
    Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan

    Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi
    Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa

  • You might also like

    No comments:

    Post a Comment