• Khamosh lab hain jhuki hain palken

    Khamosh lab hain jhuki hain palken
    Dilon mai ulfat nayi nayi hai
    Abhi takaluf hai guftugu mai
    Abhi muhabbat nayi nayi hai

    Abhi na ayegi neend tum ko
    Abhi na hum ko sukoon milega
    Abhi to dharke ga dil zyada
    Abhi ye chahat nayi nayi hai

    Bahaar ka aaj pehla din hai
    Chalo chaman mai tehel ke ayen
    Fiza mai khushbo nayi nayi hai
    Gulon mai rangat nayi nayi hai

    Jo khandani raees hain wo
    Mizaaj rakhte hain narm apna
    Tumhara lehja bata raha hai
    Tumhari dolat nayi nayi hai

    Zara sa qudrat ne kya nawaza
    Ke aake bethe ho pehli saff mai
    Abhi se urhne lage hawa mai
    Abhi to shohrat nayi nayi hai
  • You might also like

    No comments:

    Post a Comment